KHAYAL DESH KI
05 April 2020
Kisiko
balcony nahin to kisi ke paas mombathi bhi nahin,
Pehchan
pucho toh kehte hain mere paas kagaz bhi nahin
Thali
thoko ya nahin, diya jalao ya na jalao, marzi apni
Raat din
mehnat karte hue doctoron ka daad bhi nahin?
Aage bahut
zindagi padi hai yaron azadi se jee lena
Yeh
mahamari ka waqt Qayamat ka ehsaas bhi nahin?
Hukumat pe
naraz hona Ghalib zayad hai lekin,
Itna
gussa ke naaz apne hi watan pe bhi nahin?
Comments
Post a Comment